jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah

jo bazm-e-dahr mein kal tak the khud-suron ki tarah
bikhar gae hain wo tute hue paron ki tarah

shikasta ruh hai jismon ke gumbadon mein asir
hain mere daur ke insan maqbaron ki tarah

daro tum un se ki wo raaz-dar-e-tufan hain
jo ek umr se chup hain samundaron ki tarah

pada jo waqt to wo phir nazar nahin aae
yaqin karen ki jo milte the dilbaron ki tarah

haqiqaton ka karen samna dileri se
na ye ki mund len aankhen kabutaron ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close