andalibon se kabhi gul se kabhi leta hun azm-e-bardasht dam-e-tishna-labi leta hun tanz ki sard hawaen jo satati hain mujhe shiddat-e-garmi-e-ehsas ko pi leta hun zindagi baqi bhi apnon mein guzar jaegi is liye talkhi-e-haalat ko pi leta hun mujh pe sab log gunah dal diya karte hain kis liye kis ke liye dariya-dili leta hun inkisari ne mujhe itni bulandi di hai bhul kar bhi na kabhi rah-e-khudi leta hun