dekhte hi dhadkanen sari pareshan ho gain teri aankhen ai sitamgar aafat-e-jaan ho gain aa gaya palkon pe ashkon ke patangon ka hujum jab kisi ki yaad ki shamen farozan ho gain phir meri tasbih ke dane bikhar kar rah gae phir duaen aaj un ke dar ki mehman ho gain un ke har ek lams ka aisa asar mujh par hua dil ki diwaren sabhi shahr-e-nigaran ho gain ye shab-e-tanhai 'sadiq' mujh ko das leti magar shukr hai yaaden dar-e-dil ki nigahban ho gain