andar se muntashir hun ki bahar shikasta hai main khud shikasta hun ki mera ghar shikasta hai har shai ke khal-o-khad hain mere khun mein muntashir har jism mere jism ke andar shikasta hai nikla tha kis ki naw mein sahil ke chaw mein ab tak hun main bahaw mein langar shikasta hai ek sang se hai fikr-e-arastu sharar-numa ek aaine mein aks-e-sikandar shikasta hai ek mahwiyat ki hairat-e-sahil hai har taraf ek kaifiyat ki sara samundar shikasta hai ya shisha-e-nigah hi mila mujh ko chur-chur ya shisha-e-jihat mein ye manzar shikasta hai 'kausar' badal gae hain parastish ke zaiqe mehrab sar-khamida hai mimbar shikasta hai