aandhe mod ko jo bhi kate aahista guzre cyclen takra jati hain akasr motor se andhiyare mein hanste rote kale git sune jo suraj ke aage aae wo aakhir chamke din ke waraq par insan kya the aade-tirchhe lafz raat hui to dekh raha hun kaghaz par nuqte main bikhre lamhe ka moti sadiyon se marbut mere jism se ho kar guzre barson ke dhage 'majid' ki do ghazlen bhi bhaari hain do sau par sari ghazlon ko ab koi chhape na chhape