andar to khayalon ke ho aae khayal apna ifsha-e-haqiqat se darta hai sawal apna kaghaz ki sadaqat hun go waqf-e-kitabat hun safhon se ibarat hun khulna hai muhaal apna aaina hai zat apni mamur hun jalwon se mastur hai nazron se har chand jamal apna khush hai ki jo tuti hai aakhir koi shai hogi khud mein nazar aata hai shishe ko jo baal apna parde ne kaha mujh ko parde ne suna mujh ko naghma hun samajhta hun itna hi kamal apna ghunche mein raha hun main tinke mein dhala hun main kirnon ki dua hun main shoala hai maal apna ai ham-nazaro thahro kya ho jo baramad ho har gosha-e-khalwat se ek naqsh-e-khayal apna tah sath tak aa pahunchi ek mauj na hath aai kab tak ye muhim aakhir ab khinch lun jal apna khushbu se 'muhib' khelo kya ud ko rote ho is ahd ki nazron se makhfi hai malal apna