jab koi sach baat chhupani padti hai tab jhuti ek baat banani padti hai andar andar kitne hi hum zakhmi hon chehre par muskan sajaani padti hai e'timad bhi had se ziyaada thik nahin kabhi kabhi to munh ki khani padti hai armanon ki lash utha kar kandhon par kisi kisi ko umr bitani padti hai kabhi kabhi kuchh yaad bhi rakhna padta hai kabhi kabhi har baat bhulani padti hai hum se hi dahshat-gardi hai aur hamein sab se ziyaada jaan ganwani padti hai thapki de kar hum ko to 'mashkur' yahan teri tamanna roz sulani padti hai