andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha wo mujh se khush rahe to zamana khafa raha aalam hayat ka na kabhi ek sa raha duniya mein zindagi ka tamasha bana raha tha har qadam pe apne azaem ka imtihan har gam hadsat ka mahshar bapa raha phulon ki ahd gul mein tijarat to khub ki puchhe koi ki daman-e-gulchin mein kya raha bar-e-garan tha mere liye arsa-e-hayat jine ka tere gham se bahut hausla raha har fikr har amal ka hai niyyat pe inhisar shaikh-e-haram bhi banda-e-hirs-o-hawa raha duniya amal ki rah mein aage nikal gai zahid to khanqah mein mahw-e-dua raha hum lakh muskurae tabassum ki ot se soz-e-gham-e-hayat magar jhankta raha 'ejaz' ahl-e-jaur se nafrat rahi unhen har zulm un ki bazm mein lekin rawa raha