hum jaan ke unki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain

hum jaan ke un ki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain
phulon ko satane ki khatir hum khar ki baaten karte hain

kuchh log gulabon ki surat kanton se guzara karte hain
mahrum-e-mohabbat ho kar bhi wo pyar ki baaten karte hain

kaliyon ko chatakta dekh ke jo bijli ko pukara karte the
ab rakh uda kar log wahi gulzar ki baaten karte hain

afsos hai un insanon par jo chand niwalon ki khatir
shahon ke qaside likhte hain sarkar ki baaten karte hain

dekha hai jab se phulon ne ai jaan tumhaare chehre ko
aapas mein tumhaare honton ki rukhsar ki baaten karte hain

jo sari umr fasilon mein suraj ki shuaon ko tarse
wo log hamin se kuche ki bazar ki baaten karte hain

jo raat ko apne sath liye aae the shahr ki galiyon mein
ab nur ke tadke subhon ke aasar ki baaten karte hain

wo zinda tha to koi bhi pursan-e-haal na tha us ka
ab kitne shauq se log usi bimar ki baaten karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close