andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai le jae jahan chahe hawa hum ko uda kar tute hue patton ki hikayat hi alag hai pardes mein rah kar koi kya panw jamae gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai jitna hai samar jis pe wo utna hai khamida phaldar darakhton ki tabiat hi alag hai bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan andar se har ek ped ki haalat hi alag hai har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri andaz mera teri badaulat hi alag hai kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib' is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai