hamari aankhen bhi sahib ajib kitni hain ki dil jo roe to kam-bakht hansne lagti hain tumhaare shahr se chaliye ki tang-dasti ne tumhaare shahr ki galiyan bhi tang kar di hain ye hum hain be-hunaran dekhiye hunar-mandi jo koi kaam karen hum to poren jalti hain na is ka wasl mila aur na rozgar yahan so pahle hijr-zada the aur ab ke hijrati hain to shah-zadi ko laen wo mahw-e-khwab hai kya hamein yaqin nahin pariyan bhi jhut bolti hain