andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha is husn-e-ittifaq pe lut kar bhi shad hun teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha dil rakh ho chuka to chamak aur badh gai ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha is rishta-e-latif ke asrar kya khulen tu samne tha aur tasawwur khuda ka tha chhup chhup ke roun aur sar-e-anjuman hansun mujh ko ye mashwara mere dard-ashna ka tha uttha ajab tazad se insan ka khamir aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha tuta to kitne aaina-khanon pe zad padi atka hua gale mein jo patthar sada ka tha hairan hun ki war se kaise bacha 'nadim' wo shakhs to gharib o ghayur intiha ka tha