andaz kuchh aur naz-o-ada aur hi kuchh hai jo baat hai wo nam-e-khuda aur hi kuchh hai na barq na khurshid na shoala na bhabhuka kyun sahibo ye husn hai ya aur hi kuchh hai billor ki chamken hain na almas ki jhamken us gore se sine ki safa aur hi kuchh hai pichhe ko nazar ki to wo guddi hai qayamat aage ko jo dekha to gila aur hi kuchh hai sine pe kaha main ne ye do seb hain kya hain sharma ke ye chupke se kaha aur hi kuchh hai tum baaten hamein kahte ho aur sunte hain hum chup apni bhi khamoshi mein sada aur hi kuchh hai hain aap ki baaten to shakar-rez par ai jaan is gunge ke gud mein bhi maza aur hi kuchh hai puchhi jo dawa hum ne tabibon se to bole bimari nahin hai ye bala aur hi kuchh hai unnab na khutmi na banafsha na khiyarin is dhab ke marizon ki dawa aur hi kuchh hai hum ko to 'nazir' un se shikayat hai jafa ki aur un ka jo suniye to gila aur hi kuchh hai