dil jab se dard-e-ishq ke qabil nahin raha ek nagawar chiz hai ab dil nahin raha wo main nahin raha wo mera dil nahin raha ab un ko munh dikhane ke qabil nahin raha kya iltija-e-did karun dekhta hun main aaina bhi hamesha muqabil nahin raha ab wo khafa hue hain to yun bhi hai ek khushi marna hamare waste mushkil nahin raha duniya gharaz ki rah gai ab is se kiya gharaz chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahin raha sun sun ke ahl-e-ishq-o-mohabbat ke waqiat duniya ka koi kaam bhi mushkil nahin raha duniya ke nek-o-bad pe meri rae kuchh nahin ab tak idhar khayal hi mail nahin raha mujh se na puchho hasrat-e-araish-e-jamal aaina ban ke un ke muqabil nahin raha ek na-umid ke liye itna na sochiye aazurda dil raha bhi to be-dil nahin raha wo jaan le chuken to koi un se puchh le ab to kuchh us gharib pe fazil nahin raha aaya na khwab mein bhi kabhi ghair ka khayal ghaflat mein bhi main aap se ghafil nahin raha be-bandagi bhi us ki rahi banda-parwari milta raha agarche main sail nahin raha wo hath hain safi' mujhe ek aastin ka sanp gardan mein dost ke jo hamail nahin raha