andaz se alag nae tewar liye hue shishe khade the hath mein patthar liye hue mumkin hai ye bhi hoga kisi daur mein yahan aaenge phul bhi kabhi nashtar liye hue jugnu ki haisiyat ko na kam aankiye janab udta phire hai khud mein ek akhtar liye hue phir se saji hain shakhen chaman mein hain raunaqen aai bahaar phulon ka zewar liye hue aaghaz ho raha hai nae ek safar ka phir aaya hai pesh-kash nai rahbar liye hue kis baat ka ghurur hai milna hai khak mein aae hain aap khak ka paikar liye hue karigari kamal ki qudrat ki dekh kar hairan hun main titliyon ke par liye hue