bacha ke rakkhi hai thoDi si dosti maine

bacha ke rakkhi hai thodi si dosti main ne
kiya hai tark abhi rishta aarzi main ne

purani yaadon ko puchha nae iradon se
daricha khol ke aane di raushni main ne

diya hai rasta phir se nae khayalon ko
mitai zehn se taswir aap ki main ne

tujhe bhi dekhun tadapta hua kisi ke liye
isi liye to nahin ki thi khud-kushi main ne

tamam rang hi takne lage the hasrat se
safed rang ki odhi jo odhni main ne

utha ke hath khuda se dua ki pani ki
badan pe sahra ke jhuk ke likhi nadi main ne

har ek lamha guzarta hai ek baras jaisa
guzar di ho yahan jaise ek sadi main ne

wo tin lafz hun jis ki main muntazir kab se
kaho na ek dafa phir nahin suni main ne

umadte shor ke shoalon pe pad gaya pani
bas ek baat zara zor se kahi main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close