andhe badan mein ye sahar-asar kaun hai tu bhi nahin to mujh mein sharar-bar kaun hai wo kaun hai jo jagta hai meri nind mein asrar main hun sahab-e-asrar kaun hai kis ne wafa ke nam pe dhoka diya mujhe kis se kahun ki mera gunahgar kaun hai sab ne gale laga ke gale se juda kiya pahchan hi nahin ki riya-kar kaun hai phir yun hua ki mujh pe hi diwar gir padi lekin na khul saka pas-e-diwar kaun hai meri sada mein kis ki sadaen hain maujzan naddi hun main agar to mere par kaun hai mahbus sab hain maslahaton ke hisar mein lekin khud apni dhun ka giraftar kaun hai har aankh mein 'najib' hain sapne base hue is jagte dayar mein bedar kaun hai