dil to ek shakhs ko nakhchir banane mein gaya saz-e-dil naghma-e-dil-gir banane mein gaya raat ek khwab jo dekha to hua ye malum din bhi us khwab ki taswir banane mein gaya partaw-e-khana-e-mauhum ghanimat tha magar wo bhi ek naqsha-e-tamir banane mein gaya ruh to ruh hai kuchh bas nahin is par lekin ye badan khak ko iksir banane mein gaya yar to dirham o dinar banane mein gae aur main ishq ki jagir banane mein gaya sher tasir se khali hua waqt-e-tabir nafs-e-mazmun bhi taqrir banane mein gaya