andhera mitta nahin hai mitana padta hai bujhe charagh ko phir se jalana padta hai ye aur baat hai ghabra raha hai dil warna ghamon ka bojh to sab ko uthana padta hai kabhi kabhi to in ashkon ki aabru ke liye na chahte hue bhi muskurana padta hai ab apni baat ko kahna bahut hi mushkil hai har ek baat ko kitna ghumana padta hai wagarna guftugu karti nahin ye khamoshi har ek sada ko hamein chup karana padta hai ab apne pas to hum khud ko bhi nahin milte hamein bhi khud se bahut dur jaana padta hai ek aisa waqt bhi aata hai zindagi mein kabhi jab apne sae se pichha chhudana padta hai bas ek jhut kabhi aaine se bola tha ab apne aap se chehra chhupana padta hai hamare haal pe ab chhod de hamein duniya ye bar bar hamein kyun batana padta hai