qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa hum ne mata-e-zindagi de kar kiya ye qarz ada hum ne hamein kis khwab se lalchaegi ye pur-fusun duniya khurach dala hai lauh-e-dil se harf-e-muddaa hum ne karen lab ko na aaluda kabhi harf-e-shikayat se shiar apna banaya shewa-e-sabr-o-raza hum ne hum us ke hain sarapa adbada kar us se kya mangen uthaya hai kabhi ai muddai dast-e-dua hum ne shahidan-e-wafa ki manqabat likhte rahe lekin na ki arzi khudaon ki kabhi hamd-o-sana hum ne parakhne wale parkhenge isi mear par hum ko jahan se kya liya hum ne jahan ko kya diya hum ne wahi insan jahan jao wahi hirman jidhar dekho bapa-e-khufta ki sayyahi-e-mulk-e-khuda hum ne luta zauq-e-safar bhi karwan ka aise lagta hai suna har taza pesh-ahang ka shor-e-dara hum ne sitam-arao sun lo aakhiri bardasht ki had tak saha har na-rawa hum ne suna har na-saza hum ne ye duzdida nigahen hain ki dil lene ki rahen hain hamesha dida-o-danista khai hai khata hum ne kashakash hum se puchhe koi na-asuda khwahish ki hasinon se bahut bandhe hain paiman-e-wafa hum ne kiya takmil-e-naqsh-e-na-tamam-e-shauq ki khatir jau tum se ho saka tum ne jau hum se ho saka hum ne 'iraqi' ki tarah 'khalid' ko kyun badnam karte hain na dekha koi aisa khush-nawاa-e-benawa hum ne