andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai wo jitni dur ho utna hi mera hone lagta hai magar jab pas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do hath kya sar par mere andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki yahi sab dekhta hai aur 'kabira' rone lagta hai samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat parae kheton pe apnon mein jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni rah chalta hai akela hone lagta hai