tumhaari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain

tumhaari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain
jo mujh se farz chhute un ke kaffare nikalte hain

duaon ka asar man ke labon se phut padta hai
main jab be-chaara hota hun kai chaare nikalte hain

kabhi be-hurmati masjid ki aur apman mandir ka
amir-e-shahr ke ghar se kai dhaare nikalte hain

kahan ka ilm kaisi degreeyan ye haal hai ki ab
jahan suraj talasho ghor andhiyare nikalte hain

yahi gar faisla hai aap ka to ye bhi sun lije
hamare sath yaadon ke kai dhaare nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close