andhere dur kare nur se ujale mujhe

andhere dur kare nur se ujale mujhe
koi to ho jo tere baad bhi sambhaale mujhe

main mar raha hun magar sans de rahe hain baham
tumhaari zat se mansub kuchh hawale mujhe

ye rud-e-khwab nahin makhmase ka dariya hai
duboe ishq kabhi josh mein uchhaale mujhe

abhi main rail ki patri se dur baitha hun
abhi hai waqt agar ho sake mana le mujhe

nahin hai yaad mujhe nam han magar aankhen
sharab bhul chuka yaad hain pyale mujhe

main saunp dun use inam mein bachi sansen
mere wajud ke malbe se jo nikale mujhe

nishan mel ki ranginiyon ke sadqe hue
bahut aziz hain panw ke sare chhaale mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close