kabhi nakaamiyon ka apni hum matam nahin karte muqaddar mein jo gham likkhe hain un ka gham nahin karte tumhaare naqsh-e-pa par jo nigahen apni rakhte hain wo sar dair-o-haram ke samne bhi kham nahin karte ghataon ko barasne ka ishaara hi nahin milta wo jab tak zulf apne dosh par barham nahin karte masail daur-e-hazir ke hain mauzua-e-ghazal kuchh yun ki shair aaj ke zikr-e-gul-o-shabnam nahin karte ise tahzib-e-gham ka nam ahl-e-dard dete hain mere aansu kabhi daman tumhaara nam nahin karte samajhte hain ise ahl-e-nazar saman-e-khud-bini shikasta aaine ka wo kabhi matam nahin karte andheron ki shikayat kya andhere phir andhere hain ujale bhi sitam is daur mein kuchh kam nahin karte mohabbat kis se hum karte hain kuchh batla nahin sakte ye hai wo raaz jis mein dil ko bhi mahram nahin karte farebon se kahan tak dil ko hum 'azad' bahlaen sarab-e-dasht shiddat tishnagi ki kam nahin karte