andhere mein ujala sa lage hai

andhere mein ujala sa lage hai
mujhe ab ghair bhi apna lage hai

bhare bazar mein tanha lage hai
wo har parde mein be-parda lage hai

mere dil mein khatakti hai tamanna
mujhe har phul ab kanta lage hai

madari ne pate ki baat kah di
mera bandar mujhe dana lage hai

jise payab samjha wo kinara
samundar se kahin gahra lage hai

guzarna hai tujhe phir imtihan se
wo apne qaul se phirta lage hai

tujhe do bund pani kaun deta
samundar bhi yahan pyasa lage hai

lahu roti hain aankhen jis ki khatir
mera rona use gana lage hai

purani rasm hai jun-tun nibhao
nae haalat se dar sa lage hai

ghata ki chhanw se wadi mein utro
shagufa sa wahan khilta lage hai

isi ehsas ke dam se hun zinda
teri aankhon mein kuchh apna lage hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close