badle talluqat fasana badal gaya

badle talluqat fasana badal gaya
tum kya chale gae ki zamana badal gaya

haalat ke shuur se barham hai aadmi
sargam mein dam nahin hai tarana badal gaya

ehsas aur aql ki majburiyan na puchh
surat badal gai to bahana badal gaya

wo mashghala hun main jise jina kaha karen
main hun wo silsila jo thikana badal gaya

main ek rah-rau jise manzil nahin qubul
main ek walwala jo zamana badal gaya

mani bidak ke rah gae sadiyon ki bhid mein
lafzon ki aandhiyon ka zamana badal gaya

aisi hawa chali hai ki bhadke hai aarzu
aisi ghata uthi ki fasana badal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close