andheri shab hawa hai aur main hun mera bujhta diya hai aur main hun tumhein ek aaina hai aur tum ho mujhe sab aaina hai aur main hun wahi meri jaraem mein asiri wahi meri saza hai aur main hun talash-e-zat ne bhatka diya hai ab ek zehni khala hai aur main hun kisi andhe kuen mein hun main 'khalid' bas ek meri sada hai aur main hun