waqt kam fasla ziyaada hai hijr ka rasta ziyaada hai marhale aur bhi bahut hain mujhe aakhiri marhala ziyaada hai zat se ek jang jari hai aur ye ma'raka ziyaada hai ham-safar ek bhi nahin mera han magar qafila ziyaada hai wasl kohna sharab jaisa hai nashsha kam zaiqa ziyaada hai in kitabon mein bas yahi hai kami zist kam falsafa ziyaada hai raat sadiyon se hai muhit-e-abad aur ye almiya ziyaada hai ek ta'alluq jo tujh se tha jaanan us se kuchh silsila ziyaada hai masale aur bhi bahut hain magar dard ka masala ziyaada hai