andheron se ulajhne ki koi tadbir karna hai koi rauzan kisi diwar mein taskhir karna hai zara dekhun to dam kitna hai is baad-e-mukhalif mein sar-e-dasht-e-bala ek ghar naya tamir karna hai nikal aaya hai jo bedad rahon par dil-e-be-khud koi nawak-fagan aae use nakhchir karna hai sar-e-dasht-e-junun jo be-khudi ke phul khilte hain unhen raushan dimaghon ke liye iksir karna hai makan-e-la-makani ka safar mera nahin rukta tumhaari yaad ko ab panw ki zanjir karna hai