asrar badi der mein ye mujh pe khula hai anwar ka mamba mere sine mein chhupa hai kya soch ke bhar aai hain ye jhil si aankhen kya soch ke dariya ke kinare tu khada hai bujhte hue is dip ka tum hausla dekho jo subh talak tez hawaon se lada hai uftad padi jab to hua mujh se gurezan sae ki tarah jo bhi mere sath raha hai zarraat ki surat na bikhar jae kahin phir ek khwab jo aankhon mein meri aan basa hai