andhi basti mein ek ajuba hun aankh rakhta hun aur gunga hun din tamashai mujh ko kya jaane meri raaton se puchh kaisa hun rang-e-duniya bhi ek tamasha hai apne hathon mein ek khilauna hun meri mashal se raat pighli thi subh tinka sa main hi bahta hun kya ye duniya hi chah-e-babul hai aadmi hun ya main farishta hun khud ko pane ki kya sabil karun main inhi raston mein khoya hun