nafrat ki aandhiyon ko mohabbat mein dhaal kar tanha khadi hun dasht mein rishte sambhaal kar mujh ko to tere dard bhi tujh se aziz hain baithi hun dekh pyar se jholi mein dal kar tabir dhundte hue rasta bhatak gain khwabon samet phenk din aankhen nikal kar shohrat kama rahe ho tum akhbar ki tarah apne parae logon ki pagdi uchhaal kar ek khush-guman aks ki bai'at se peshtar khush-bakht aaine se to rishta bahaal kar chhaya hua hai bagh mein khauf-o-hiras kyon sahme hue gulab hain khushbu sambhaal kar ya-rab kahan se late hain ye log hausla kanton mein phenk dete hain phulon ko pal kar