andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai jab tis jigar mein uthti hai tarik jahan ho jata hai ghamnak faza mein rakkhi thi buniyaad-e-nasheman jab hum ne ab baad-e-sahar ke chalne par tufan ka guman ho jata hai ye rah-e-amal hai ai ham-dam dushwari-e-manzil kya mani khamosh jo ho kar baith gaya gham us ka nishan ho jata hai ye baat bhi ab tak ahl-e-chaman mahsus nahin kar pae hain jab koi nasheman jalta hai gulshan mein dhuan ho jata hai ye zabt-e-alam mearaj sahi pasti se guzarne walon ki mahkumi ki hadd-e-fasil par har zakhm zaban ho jata hai sayyaad qafas ke roz-o-shab pur-kaif sahi lekin aksar parwaz ke qisse chhidte hi dil mahw-e-fughan ho jata hai hansne mein ashk rawan hona ye lutf-o-karam un ka hai 'hilal' ehsas ke aaine mein magar har zakhm zaban ho jata hai