gulzar khila dala jis rah se hum guzre chunte hue kharon ko zakhmon ki qasam guzre majbur-e-mohabbat ka tohfa hain ye do aansu bach bach ke zara in se tufan-e-sitam guzre ba-hosh na rah pae behosh na ho pae aise bhi kai aalam is dil pe baham guzre dekha gham-e-dauran ne hairat ki nigahon se kanton-bhari rahon se hans hans ke jo hum guzre dekha na kabhi us ne hum samne se aksar aankhon mein liye apni rudad-e-alam guzre mashur hui duniya makhmur hua aalam khwabon ke jazire se ho kar jo sanam guzre