anginat zakhm kai dagh zamane ke mile kitne unwan hamein ek fasane se mile yun to har-gam zamane ne hamein thukraya phir bhi hum tere liye sare zamane se mile ehtiraman tere qadmon pe lutae aksar jitne moti bhi hamein dil ke khazane se mile tur par jalwa-numai ki hui rasm ada wo hamein dil ki taraf aankh uthane se mile yaad hai itna mulaqat hui thi un se ye nahin yaad ki wo kis ke bahane se mile rah-e-hamwar pe insan bhatak jate hain manzil-e-dil ke nishan thokaren khane se mile baat wo hai ki jo bigde to asar paida ho tir wo hai jo khata ho ke nishane se mile dil jo tuta to khule ruh pe asrar-e-jamal kitne suraj hamein ek shama bujhane se mile jaan de kar hi mila dost ka paigham 'tufail' wo hamein aakhiri diwar girane se mile