apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai tum jis ko diwana kah do diwana ban jata hai dil ka aana ek qayamat jitne munh utni baaten hoti hai ek baat zara si afsana ban jata hai jam-o-subu ki qaid nahin hai pir-e-mughan ki shart nahin rind jahan saghar chhalka den mai-khana ban jata hai ishq ka bhi anjam wahi hai husn ka bhi anjam wahi jalte jalte shama ka dil bhi parwana ban jata hai jis gulshan par pad jata hai partaw aap ki aankhon ka us gulshan ka ghuncha ghuncha paimana ban jata hai bhuli-bisri yaadon ke yun naqsh ubharte rahte hain kaba in taswiron se hi but-khana ban jata hai dil ka raaz chhupa leta hai khamoshi ke parde mein had se guzar kar diwana bhi farzana ban jata hai khun-e-jigar se rangin ho kar jo palkon tak aa jae wo aansu darbar-e-wafa mein nazrana ban jata hai sahra gulshan ban jate hain dil ho agar aabaad 'tufail' dil ujde to gulshan gulshan virana ban jata hai