anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan us ki bhulae bhul na pae kahaniyan us ki har ek lahje mein shamil hai zaiqa us ka sada sada mein hain gauhar-fishaniyan us ki kisi ko mar gaya is ka tund-o-tez mizaj hamein to mar gain qadr-daniyan us ki zara si baat pe us ka simat simat jaana wo baat baat pe nazran jhukaniyan us ki kiye hain jab bhi taqaze nae nae us se suni hain phir wahi baatan puraniyan us ki kisi ki baat pe us ka mahak mahak uthna wo mere zikr pe kuchh bad-gumaniyan us ki nazar mein husn kisi ka 'hasan' samata nahin ki hum ne dekhi hain uthti jawaniyan us ki