ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain kaun kisi ka dukh-sukh bante kaun kisi ki rah take chaaron jaanib chalte-phirte khud-gharzi ke sae hain un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan' ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain