anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main

anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main
ye kis ki justuju hai kise dhundhta hun main

jab mere dil se dur mera ham-nafas nahin
sare jahan ki khak abas chhanta hun main

kya jabr tha ki sab ki zaban gung ho gai
kya jurm tha ki jis ki saza chahta hun main

pahle to main bhi hans ke use talta raha
ab dil jo kah raha hai wahi manta hun main

ye fasla to sirf nazar ka fareb hai
hum kis qadar qarib hain ye jaanta hun main

manzil to sirf nam hai pahchan ke liye
jis ki tumhein talash hai wo rasta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close