bata ai mauj-e-dil hone ko hai kya

bata ai mauj-e-dil hone ko hai kya
mata-e-naqd-e-jaan khone ko hai kya

thakan se chur kyon sara badan hai
safar ka ikhtitam hone ko hai kya

hamein kyon nind si aane lagi hai
shab-e-hijran sahar hone ko hai kya

khuda aabaad rakkhe aap ka gham
na ho ye gham to phir rone ko hai kya

zamin banjar na dana hai na pani
tamanna ke siwa bone ko hai kya

hum apna bojh ab tak dho rahe hain
tumhaara bojh bhi dhone ko hai kya

ganwa di zindagi kar-e-abas mein
hamare pas ab khone ko hai kya

jo hona tha wo sab kuchh ho chuka hai
na jaane aur ab hone ko hai kya

zamin khamosh hai aur aasman chup
kisi din dekhna hone ko hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close