anjaane khwab ki khatir kyun chain ganwaya kab waqt ka panchhi thera kab saya hath mein aaya ek nur ki chadar simti be-jaan faza dhundlai ghar aae ghanere baadal ya chand gahan mein aaya aankhon se nashili shab ki dhoti rahi shabnam kajal har samt syahi phaili har samt andhera chhaya jo baat labon par aai wo baat bani afsana ek git ko is duniya ne kitni hi dhunon mein gaya dil dard se bhar bhar aaya palkon pe na chamke aansu aankhon ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsaya aise bhi zamane guzre din soya raaten jagin ehsas ka rangin aanchal sannaton mein lahraya khushiyon ko to chhoda hum ne ek khel samajh kar 'anjum' jis gham ko rag-e-jaan samjha us gham ne hamein thukraya