zamane bhar ka jo fitna raha tha wahi to ganw ka mukhiya bana tha meri shohrat ke parcham ud rah the magar main dhup mein tanha khada tha hazaron raaz the poshida mujh mein main apne aap se chhup kar khada tha bahut se log us ko dekhte the wo unche ped par baitha hua tha purana tha madari ka tamasha magar wo bhid thi rasta uda tha fasadi the mere hi ghar mein 'anjum' main un ko shahr bhar mein dhundhta tha