anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen ab ganw aa gae hain to ghar dekhte chalen guzre nahin hain hum bhi kabhi is dayar se kaisa hai khwahishon ka nagar dekhte chalen phir ehtimam-e-marka-e-marg-o-zist hai teghon se khelte hue sar dekhte chalen sahil pe sahme sahme zamana guzar gaya dariya ka aaj zer-o-zabar dekhte chalen jin qatilon ka shahr mein charcha hai in dinon ji chahta hai un ka hunar dekhte chalen fursat kahan hai utni ki tafsil se padhen akhbari surkhiyon mein khabar dekhte chalen