idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain tere fidai tere jaan-nisar hum bhi hain buto haqir na samjho hamein khuda ke liye gharib banda-e-parwar-digar hum bhi hain kahan ki tauba ye mauqa hai phul udane ka chaman hai abr hai saqi hai yar hum bhi hain misal-e-ghuncha udhar khanda-zan hai wo gul-e-tar misal-e-abr idhar ashk-bar hum bhi hain jigar ne dil se kaha dard-e-hijr-e-jaanan mein ki ek tu hi nahin be-qarar hum bhi hain mudam samne ghairon ke be-naqab rahe isi pe kahte ho tum parda-dar hum bhi hain hamein bhi dijiye apni gali mein thodi jagah gharib balki gharib-ud-dayar hum bhi hain shagufta bagh-e-sukhan hai hamin se ai 'sabir' jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain