anjam hi ko us ke na samjha na tu na main warna ye khwahishat badhata na tu na main hosh-o-khirad ko kaam mein laya na tu na main is waste kamal ko pahuncha na tu na main samjhauta kar len baith ke aa ai mere zamir samjhauta maslahat se karega na tu na main haalat-e-hazira ki nazar hai bahut amiq haalat-e-hazira se bachega na tu na main zillat siwae kuchh na milega jo hota ilm apnon ko apna haal sunata na tu na main shayad isi liye ki nahin kin khushamaden manzil ko apni koi bhi pahuncha na tu na main ek shahr-e-dard-mand jo hota hamara shahr itna nidhaal dard se hota na tu na main