chali jaana hai sari aab-o-tab aahista aahista

chali jaana hai sari aab-o-tab aahista aahista
ki jaise khatm hoti hai kitab aahista aahista

yunhi aahista aahista na jaane hum kahan pahunchen
ki hum ne kar liya sar mahtab aahista aahista

zamana kah raha hai inqalab aur mujh ko lagta hai
chali aati hai mauj-e-iztirab aahista aahista

agar hoti rahin ulti yunhi khwabon ki tabiren
na aankhen tark kar den apne khwab aahista aahista

kahin ehsas-e-nakaami na ho jis ke chhupane ko
ye nara ho hum honge kaamyab aahista aahista

utho ru-posh hone ja rahe hain lafz urdu se
chhapa hai jis tarah lafz-e-shitab aahista aahista

'saadat' kash koi faeda tu bhi utha leta
rawana ho gaya tera shabab aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close