anjum-o-mehr-o-gul-o-barg-o-saba kuchh bhi nahin khub dekha ba-khuda ghair-e-khuda kuchh bhi nahin wahshat-o-masti-o-hairat ke siwa kuchh bhi nahin hai jise us ka pata apna pata kuchh bhi nahin hasti-e-alam-e-hushiyar ho ki ho apna wajud sab kuchh ek wahm-e-musalsal ke siwa kuchh bhi nahin ishq to zinda-e-jawed bana deta hai ishq ke bab mein mafhum-e-fana kuchh bhi nahin kab se hai kaun hai kyun hai wo kahan hai kya hai zat-e-be-chun mein ye sab chun-o-chara kuchh bhi nahin aur sab kuchh ho zamane ko mubarak ai 'dil' yan to daman mein mohammad ke siwa kuchh bhi nahin