ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun aur daulat-e-duniya ko pa-posh pe rakhta hun aankhon ko tikata hun hangama-e-duniya par aur kan sukhan-ha-e-khamosh pe rakhta hun kaifiyyat-e-be-khabri kya chiz hai kya jaanun buniyaad hi hone ki jab hosh pe rakhta hun mein kaun hun azalon ki hairaniyan kya bolen ek qarz hamesha ka main gosh pe rakhta hun jo qarz ki mai pi kar taskhir-e-sukhan kar le iman usi dilli ke mai-e-nosh pe rakhta hun