anjuman-saz-e-aish tu hai yahan aur phir kis ki aarzu hai yahan man-o-tu ki nahin hai gunjaish harf-e-wahdat ki guftugu hai yahan kaam kya shama ka hai le jao dilbar-e-aftab-ru hai yahan dil mein apne nahin kuchh aur talash ek teri hi justuju hai yahan dast-bosi ko teri ai saqi muntazir saghar aur subu hai yahan aa shitabi ki hai makan-e-latif sair-e-gulzar o aab-ju hai yahan kya tere ghar mein raat tha 'bedar' us gul-andam ki si bu hai yahan