auron ki baat yan bahut kam hai zikr-e-khair aap ka hi har dam hai jaan tak to nahin hai tujh se daregh ai main qurban kyun tu barham hai gah rona hai kah hansna hai aashiqi ka bhi zor aalam hai khush na paya kisi ko yan hum ne dekhi duniya sara-e-matam hai aah jis din se aankh tujh se lagi dil pe har roz ek naya gham hai magar aansu kisu ke ponchhe hain aastin aaj kyun teri nam hai us ke aariz pe hai araq ki bund ya ki 'bedar' gul pe shabnam hai